چلو اک نظم لکھتے ہیں
کسی کے نام کرتے ہیں
مگر اب سوچنا یہ ہے،
کہ اس میں ذکر کس کا ہو
اس میں بات کس کی ہو
اس میں ذات کس کی ہو،
اور یہ بھی فرض کرتے ہیں،
کہ جس پہ نظم لکھتے ہیں
اس سے محبت کرتے ہیں
ہمارے سارے جذبوں کو
بس اسکی ہی ضرورت ہے
اظہار کی خاطر
اک نظم کی حاجت ہے،
چلو اک کام کرتے ہیں
کہ ہم جو نظم لکھتے ہیں
تمھارے نام کرتے ہیں
تمھی عنوان ہو اسکا
تمھارا ذکر ہے اس میں
تمھاری بات ہے اس میں
تمھاری ذات ہے اس میں
chalo ik nazm likhtay hain
kisi ke naam kertay hain
magar ab sochna ye hai
ke iss mein zik'r kiska ho
iss mein baat kiski ho
iss mein zaat kiski ho
aur ye bhi farz kertay hain
ke jis pe naz'm likhtay hain
uss se mohabbat kertay hain
hamary saray jazbo'n ko
bas uski hi zarurat hai
izhar ki khatir
ik nazm ki hajat hai
chalo ik kaam kertay hain
ke hum jo naz'm likhtay hain
tumharay naam kertay hain
tumhi unwaan ho iska
tumhara zik'r hai iss mein
tumhari baat hai iss mein
tumhari zaat hai iss mein
No comments:
Post a Comment